ajeeb tum bhi tamasha banaaye firte ho | अजीब तुम भी तमाशा बनाए फिरते हो

  - Nityanand Vajpayee

ajeeb tum bhi tamasha banaaye firte ho
zara si baat pe yun munh fulaaye firte ho

qusoor apna chhupaane ko tum saraasar yun
lo kohinoor ko patthar bataaye firte ho

khile ho jiske bagiche mein phool ban kar ke
use mitaane ki saazish rachaae firte ho

kisi ki saakh mitaane ki maatahat yun hi
fazool jhooth ka parcham uthaaye firte ho

zameer bech diya khud ka chand paison mein
kai ki peeth mein khanjar dhasaaye firte ho

shikhandiyon ki liye fauj saath mein us par
tum apne khud ko jiyaala jataaye firte ho

dabey hain qabr mein laakhon ham aur tum jaise
ghuroor-e-'aib mein phir kyun nahaaye firte ho

kisi ka dard ghataao ki nitya marham ban
tum aur ghaav ko uske badhaaye firte ho

अजीब तुम भी तमाशा बनाए फिरते हो
ज़रा सी बात पे यूँ मुँह फुलाए फिरते हो

क़ुसूर अपना छुपाने को तुम सरासर यूँ
लो कोहिनूर को पत्थर बताए फिरते हो

खिले हो जिसके बग़ीचे में फूल बन कर के
उसे मिटाने की साज़िश रचाए फिरते हो

किसी की साख मिटाने की मातहत यूँ ही
फजूल झूठ का परचम उठाए फिरते हो

ज़मीर बेच दिया खुद का चंद पैसों में
कई की पीठ में ख़ंजर धसाए फिरते हो

शिखण्डियों की लिए फ़ौज साथ में उस पर
तुम अपने ख़ुद को जियाला जताए फिरते हो

दबे हैं क़ब्र में लाखों हम और तुम जैसे
ग़ुरूर-ए-'ऐब में फिर क्यों नहाए फिरते हो

किसी का दर्द घटाओ कि 'नित्य' मरहम बन
तुम और घाव को उसके बढ़ाए फिरते हो

  - Nityanand Vajpayee

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nityanand Vajpayee

As you were reading Shayari by Nityanand Vajpayee

Similar Writers

our suggestion based on Nityanand Vajpayee

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari