chehra hua main aur meri tasveer hue sab | चेहरा हुआ मैं और मिरी तस्वीर हुए सब - Obaidullah Aleem

chehra hua main aur meri tasveer hue sab
main lafz hua mujh mein hi zanjeer hue sab

buniyaad bhi meri dar-o-deewar bhi mere
ta'aamir hua main ki ye ta'aamir hue sab

vaise hi likhoge to mera naam bhi hoga
jo lafz likhe vo meri jaageer hue sab

marte hain magar maut se pehle nahin marte
ye waqia aisa hai ki dil-geer hue sab

vo ahl-e-qalam saaya-e-rehmat ki tarah the
ham itne ghate apni hi ta'zeer hue sab

us lafz ki maanind jo khulta hi chala jaaye
ye zaat-o-zamaan mujh se hi tahreer hue sab

itna sukhan-e-meer nahin sahal khuda khair
naqqaad bhi ab mo'taqid-e-'meer hue sab

चेहरा हुआ मैं और मिरी तस्वीर हुए सब
मैं लफ़्ज़ हुआ मुझ में ही ज़ंजीर हुए सब

बुनियाद भी मेरी दर-ओ-दीवार भी मेरे
ता'मीर हुआ मैं कि ये ता'मीर हुए सब

वैसे ही लिखोगे तो मिरा नाम भी होगा
जो लफ़्ज़ लिखे वो मिरी जागीर हुए सब

मरते हैं मगर मौत से पहले नहीं मरते
ये वाक़िआ' ऐसा है कि दिल-गीर हुए सब

वो अहल-ए-क़लम साया-ए-रहमत की तरह थे
हम इतने घटे अपनी ही ता'ज़ीर हुए सब

उस लफ़्ज़ की मानिंद जो खुलता ही चला जाए
ये ज़ात-ओ-ज़माँ मुझ से ही तहरीर हुए सब

इतना सुख़न-ए-'मीर' नहीं सहल ख़ुदा ख़ैर
नक़्क़ाद भी अब मो'तक़िद-ए-'मीर' हुए सब

- Obaidullah Aleem
1 Like

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari