ye aur baat ki is ahad ki nazar mein hoon
abhi main kya ki abhi manzil-e-safar mein hoon
abhi nazar nahin aisi ki door tak dekhoon
abhi khabar nahin mujh ko ki kis asar mein hoon
pighal rahe hain jahaan log shola-e-jaan se
shareek main bhi isee mehfil-e-hunar mein hoon
jo chahe sajda guzaare jo chahe thukra de
pada hua main zamaane ki raahguzaar mein hoon
jo saaya ho to daroon aur dhoop ho to jaloon
ki ek nakhl-e-numoo khaak-e-nauha-gar mein hoon
kiran kiran kabhi khurshid ban ke nikloonga
abhi charaagh ki soorat mein apne ghar mein hoon
bichhad gai hai vo khushboo ujad gaya hai vo rang
bas ab to khwaab sa kuchh apni chashm-e-tar mein hoon
ये और बात कि इस अहद की नज़र में हूँ
अभी मैं क्या कि अभी मंज़िल-ए-सफ़र में हूँ
अभी नज़र नहीं ऐसी कि दूर तक देखूँ
अभी ख़बर नहीं मुझ को कि किस असर में हूँ
पिघल रहे हैं जहाँ लोग शो'ला-ए-जाँ से
शरीक मैं भी इसी महफ़िल-ए-हुनर में हूँ
जो चाहे सज्दा गुज़ारे जो चाहे ठुकरा दे
पड़ा हुआ मैं ज़माने की रहगुज़र में हूँ
जो साया हो तो डरूँ और धूप हो तो जलूँ
कि एक नख़्ल-ए-नुमू ख़ाक-ए-नौहा-गर में हूँ
किरन किरन कभी ख़ुर्शीद बन के निकलूँगा
अभी चराग़ की सूरत में अपने घर में हूँ
बिछड़ गई है वो ख़ुश्बू उजड़ गया है वो रंग
बस अब तो ख़्वाब सा कुछ अपनी चश्म-ए-तर में हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Nigaah Shayari Shayari