neend aankhon se udri phool se khushboo ki tarah | नींद आँखों से उड़ी फूल से ख़ुश्बू की तरह - Obaidullah Aleem

neend aankhon se udri phool se khushboo ki tarah
jee bahl jaayega shab se tire gesu ki tarah

dosto jashn manao ki bahaar aayi hai
phool girte hain har ik shaakh se aansu ki tarah

meri aashuftagi-e-shauq mein ik husn bhi hai
tere aariz pe machalte hue gesu ki tarah

ab tire hijr mein lazzat na tire vasl mein lutf
in dinon zeest hai thehre hue aansu ki tarah

zindagi ki yahi qeemat hai ki arzaan ho jaao
naghma-e-dard liye mauja-e-khushboo ki tarah

kis ko maaloom nahin kaun tha vo shakhs aleem
jis ki khaatir rahe aawaara hum aahu ki tarah

नींद आँखों से उड़ी फूल से ख़ुश्बू की तरह
जी बहल जाएगा शब से तिरे गेसू की तरह

दोस्तो जश्न मनाओ कि बहार आई है
फूल गिरते हैं हर इक शाख़ से आँसू की तरह

मेरी आशुफ़्तगी-ए-शौक़ में इक हुस्न भी है
तेरे आरिज़ पे मचलते हुए गेसू की तरह

अब तिरे हिज्र में लज़्ज़त न तिरे वस्ल में लुत्फ़
इन दिनों ज़ीस्त है ठहरे हुए आँसू की तरह

ज़िंदगी की यही क़ीमत है कि अर्ज़ां हो जाओ
नग़्मा-ए-दर्द लिए मौजा-ए-ख़ुश्बू की तरह

किस को मालूम नहीं कौन था वो शख़्स 'अलीम'
जिस की ख़ातिर रहे आवारा हम आहू की तरह

- Obaidullah Aleem
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari