kuch ishq tha kuch majboori thi so main ne jeevan vaar diya | कुछ इश्क़ था कुछ मजबूरी थी सो मैं ने जीवन वार दिया - Obaidullah Aleem

kuch ishq tha kuch majboori thi so main ne jeevan vaar diya
main kaisa zinda aadmi tha ik shakhs ne mujh ko maar diya

ik sabz shaakh gulaab ki tha ik duniya apne khwaab ki tha
vo ek bahaar jo aayi nahin us ke liye sab kuch haar diya

ye sija-sajaya ghar saathi meri zaat nahin mera haal nahin
ai kaash kabhi tum jaan sako jo is sukh ne aazaar diya

main khuli hui ik sacchaai mujhe jaanne waale jaante hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon ko pyaar diya

vo ishq bahut mushkil tha magar aasaan na tha yun jeena bhi
us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindaar diya

main rota hoon aur aasmaan se taare tootte dekhta hoon
un logon par jin logon ne mere logon ko aazaar diya

mere bacchon ko allah rakhe in taaza hawa ke jhonkon ne
main khushk ped khizaan ka tha mujhe kaisa barg-o-baar diya

कुछ इश्क़ था कुछ मजबूरी थी सो मैं ने जीवन वार दिया
मैं कैसा ज़िंदा आदमी था इक शख़्स ने मुझ को मार दिया

इक सब्ज़ शाख़ गुलाब की था इक दुनिया अपने ख़्वाब की था
वो एक बहार जो आई नहीं उस के लिए सब कुछ हार दिया

ये सजा-सजाया घर साथी मिरी ज़ात नहीं मिरा हाल नहीं
ऐ काश कभी तुम जान सको जो इस सुख ने आज़ार दिया

मैं खुली हुई इक सच्चाई मुझे जानने वाले जानते हैं
मैं ने किन लोगों से नफ़रत की और किन लोगों को प्यार दिया

वो इश्क़ बहुत मुश्किल था मगर आसान न था यूँ जीना भी
उस इश्क़ ने ज़िंदा रहने का मुझे ज़र्फ़ दिया पिंदार दिया

मैं रोता हूँ और आसमान से तारे टूटते देखता हूँ
उन लोगों पर जिन लोगों ने मिरे लोगों को आज़ार दिया

मिरे बच्चों को अल्लाह रखे इन ताज़ा हवा के झोंकों ने
मैं ख़ुश्क पेड़ ख़िज़ाँ का था मुझे कैसा बर्ग-ओ-बार दिया

- Obaidullah Aleem
1 Like

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari