mere khuda mujhe vo taab-e-nay-nawaai de
main chup rahoon bhi to naghma mera sunaai de
gada-e-koo-e-sukhan aur tujh se kya maange
yahi ki mamlikat-e-sher ki khudaai de
nigah-e-dehr mein ahl-e-kamaal ham bhi hon
jo likh rahe hain vo duniya agar dikhaai de
chhalk na jaaun kahi main vujood se apne
hunar diya hai to phir zarf-e-kibriyaai de
mujhe kamaal-e-sukhan se nawaazne waale
sama'aton ko bhi ab zaauq-e-aashnaai de
numoo-pazeer hai ye shola-e-nava to ise
har aane waale zamaane ki peshwaai de
koi kare to kahaan tak kare masihaai
ki ek zakham bhare doosra duhaai de
main ek se kisi mausam mein rah nahin saka
kabhi visaal kabhi hijr se rihaai de
jo ek khwaab ka nashsha ho kam to aankhon ko
hazaar khwaab de aur jurat-e-rasaai de
मिरे ख़ुदा मुझे वो ताब-ए-नय-नवाई दे
मैं चुप रहूँ भी तो नग़्मा मिरा सुनाई दे
गदा-ए-कू-ए-सुख़न और तुझ से क्या माँगे
यही कि मम्लिकत-ए-शेर की ख़ुदाई दे
निगाह-ए-दहर में अहल-ए-कमाल हम भी हों
जो लिख रहे हैं वो दुनिया अगर दिखाई दे
छलक न जाऊँ कहीं मैं वजूद से अपने
हुनर दिया है तो फिर ज़र्फ़-ए-किबरियाई दे
मुझे कमाल-ए-सुख़न से नवाज़ने वाले
समाअतों को भी अब ज़ौक़-ए-आश्नाई दे
नुमू-पज़ीर है ये शोला-ए-नवा तो इसे
हर आने वाले ज़माने की पेशवाई दे
कोई करे तो कहाँ तक करे मसीहाई
कि एक ज़ख़्म भरे दूसरा दुहाई दे
मैं एक से किसी मौसम में रह नहीं सकता
कभी विसाल कभी हिज्र से रिहाई दे
जो एक ख़्वाब का नश्शा हो कम तो आँखों को
हज़ार ख़्वाब दे और जुरअत-ए-रसाई दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Hijr Shayari Shayari