baahar ka dhan aata jaata asal khazana ghar mein hai
har dhoop mein jo mujhe saaya de vo saccha saaya ghar mein hai
paataal ke dukh vo kya jaanen jo sath pe hain milne waale
hain ek hawala dost mere aur ek hawala ghar mein hai
meri umr ke ik ik lamhe ko main ne qaid kiya hai lafzon mein
jo haara hoon ya jeeta hoon vo sab sarmaaya ghar mein hai
tu nanha-munna ek diya main ek samundar andhiyaara
tu jalte jalte bujhne laga aur phir bhi andhera ghar mein hai
kya swaang bhare roti ke liye izzat ke liye shohrat ke liye
suno shaam hui ab ghar ko chalo koi shakhs akela ghar mein hai
ik hijr-zada baabul piyaari tire jaagte bacchon se haari
ai shaayar kis duniya mein hai tu tiri tanhaa duniya ghar mein hai
duniya mein khapaaye saal kai aakhir mein khula ahvaal yahi
vo ghar ka ho ya baahar ka har dukh ka mudaava ghar mein hai
बाहर का धन आता जाता असल ख़ज़ाना घर में है
हर धूप में जो मुझे साया दे वो सच्चा साया घर में है
पाताल के दुख वो क्या जानें जो सत्ह पे हैं मिलने वाले
हैं एक हवाला दोस्त मिरे और एक हवाला घर में है
मिरी उम्र के इक इक लम्हे को मैं ने क़ैद किया है लफ़्ज़ों में
जो हारा हूँ या जीता हूँ वो सब सरमाया घर में है
तू नन्हा-मुन्ना एक दिया मैं एक समुंदर अँधियारा
तू जलते जलते बुझने लगा और फिर भी अँधेरा घर में है
क्या स्वाँग भरे रोटी के लिए इज़्ज़त के लिए शोहरत के लिए
सुनो शाम हुई अब घर को चलो कोई शख़्स अकेला घर में है
इक हिज्र-ज़दा बाबुल पियारी तिरे जागते बच्चों से हारी
ऐ शाएर किस दुनिया में है तू तिरी तन्हा दुनिया घर में है
दुनिया में खपाए साल कई आख़िर में खुला अहवाल यही
वो घर का हो या बाहर का हर दुख का मुदावा घर में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Sazaa Shayari Shayari