aziz itna hi rakho ki jee sambhal jaaye | अज़ीज़ इतना ही रक्खो कि जी सँभल जाए

  - Obaidullah Aleem

aziz itna hi rakho ki jee sambhal jaaye
ab is qadar bhi na chaaho ki dam nikal jaaye

mile hain yun to bahut aao ab milen yun bhi
ki rooh garmi-e-anfaas se pighal jaaye

mohabbaton mein ajab hai dilon ko dhadka sa
ki jaane kaun kahaan raasta badal jaaye

zahe vo dil jo tamanna-e-taazaa-tar mein rahe
khosha vo umr jo khwaabon hi mein bahl jaaye

main vo charaagh sar-e-rahguzar-e-duniya hoon
jo apni zaat ki tanhaaiyon mein jal jaaye

har ek lahza yahi aarzoo yahi hasrat
jo aag dil mein hai vo sher mein bhi dhal jaaye

अज़ीज़ इतना ही रक्खो कि जी सँभल जाए
अब इस क़दर भी न चाहो कि दम निकल जाए

मिले हैं यूँ तो बहुत आओ अब मिलें यूँ भी
कि रूह गर्मी-ए-अनफ़ास से पिघल जाए

मोहब्बतों में अजब है दिलों को धड़का सा
कि जाने कौन कहाँ रास्ता बदल जाए

ज़हे वो दिल जो तमन्ना-ए-ताज़ा-तर में रहे
ख़ोशा वो उम्र जो ख़्वाबों ही में बहल जाए

मैं वो चराग़ सर-ए-रहगुज़ार-ए-दुनिया हूँ
जो अपनी ज़ात की तन्हाइयों में जल जाए

हर एक लहज़ा यही आरज़ू यही हसरत
जो आग दिल में है वो शेर में भी ढल जाए

  - Obaidullah Aleem

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari