aao tum hi karo masihaai
ab bahlati nahin hai tanhaai
tum gaye the to saath le jaate
ab ye kis kaam ki hai beenaai
ham ki the lazzat-e-hayaat mein gum
jaan se ik mauj-e-tishnagi aayi
hum-safar khush na ho mohabbat se
jaane ham kis ke hon tamannaai
koi deewaana kehta jaata tha
zindagi ye nahin mere bhaai
awwal-e-ishq mein khabar bhi na thi
izzaten bakhshati hai ruswaai
kaise paao mujhe jo tum dekho
satah-e-saahil se meri gehraai
jin mein ham khel kar jawaan hue
wahi galiyaan hui tamaashaai
आओ तुम ही करो मसीहाई
अब बहलती नहीं है तन्हाई
तुम गए थे तो साथ ले जाते
अब ये किस काम की है बीनाई
हम कि थे लज़्ज़त-ए-हयात में गुम
जाँ से इक मौज-ए-तिश्नगी आई
हम-सफ़र ख़ुश न हो मोहब्बत से
जाने हम किस के हों तमन्नाई
कोई दीवाना कहता जाता था
ज़िंदगी ये नहीं मिरे भाई
अव्वल-ए-इश्क़ में ख़बर भी न थी
इज़्ज़तें बख़्शती है रुस्वाई
कैसे पाओ मुझे जो तुम देखो
सतह-ए-साहिल से मेरी गहराई
जिन में हम खेल कर जवान हुए
वही गलियाँ हुईं तमाशाई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari