haso to rang hoon chehre ka roo to chashm-e-nam mein hoon
tum mujh ko mehsoos karo to har mausam mein hoon
chaaha tha jise vo mil bhi gaya par khwaab bhare hain aankhon mein
ai mere lahu ki lehar bata ab kaun se main aalam mein hoon
log mohabbat karne waale dekhenge tasveer apni
ek shua-e-aawara hoon aaina-e-shabnam mein hoon
us lamhe to gardish-e-khoon ne meri ye mehsoos kiya
jaise sar pe zameen uthaaye ik raqs-e-paiham mein hoon
yaar mera zanjeeren pahne aaya hai bazaaron mein
main ki tamasha dekhne waale logon ke maatam mein hoon
jo likkhe vo khwaab mere ab aankhon aankhon zinda hain
jo ab tak nahin likh paaya main un khwaabon ke gham mein hoon
हँसो तो रंग हूँ चेहरे का रोओ तो चश्म-ए-नम में हूँ
तुम मुझ को महसूस करो तो हर मौसम में हूँ
चाहा था जिसे वो मिल भी गया पर ख़्वाब भरे हैं आँखों में
ऐ मेरे लहू की लहर बता अब कौन से मैं आलम में हूँ
लोग मोहब्बत करने वाले देखेंगे तस्वीर अपनी
एक शुआ-ए-आवारा हूँ आईना-ए-शबनम में हूँ
उस लम्हे तो गर्दिश-ए-ख़ूँ ने मेरी ये महसूस किया
जैसे सर पे ज़मीं उठाए इक रक़्स-ए-पैहम में हूँ
यार मिरा ज़ंजीरें पहने आया है बाज़ारों में
मैं कि तमाशा देखने वाले लोगों के मातम में हूँ
जो लिक्खे वो ख़्वाब मिरे अब आँखों आँखों ज़िंदा हैं
जो अब तक नहीं लिख पाया मैं उन ख़्वाबों के ग़म में हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Dosti Shayari Shayari