main kaise jiyooun gar ye duniya har aan nayi tasveer na ho | मैं कैसे जियूँ गर ये दुनिया हर आन नई तस्वीर न हो - Obaidullah Aleem

main kaise jiyooun gar ye duniya har aan nayi tasveer na ho
ye aate jaate rang na hon aur lafzon ki tanveer na ho

ai raah-e-ishq ke raahi sun chal aise safar ki lazzat mein
tiri aankhon mein naye khwaab to hon par khwaabon ki taabeer na ho

ghar aaun ya baahar jaaun har ek fazaa mein mere liye
ik jhooti sacchi chaahat ho rasmon ki koi zanjeer na ho

jaise ye meri apni soorat mere saamne ho aur kahti ho
mere shaayar tere saath hoon main mayus na ho dil-geer na ho

koi ho to mohabbat aisi ho mujhe dhoop aur saaye mein jis ke
kisi jazbe ka aazaar na ho kisi khwaahish ki taazeer na ho

मैं कैसे जियूँ गर ये दुनिया हर आन नई तस्वीर न हो
ये आते जाते रंग न हों और लफ़्ज़ों की तनवीर न हो

ऐ राह-ए-इश्क़ के राही सुन चल ऐसे सफ़र की लज़्ज़त में
तिरी आँखों में नए ख़्वाब तो हों पर ख़्वाबों की ताबीर न हो

घर आऊँ या बाहर जाऊँ हर एक फ़ज़ा में मेरे लिए
इक झूटी सच्ची चाहत हो रस्मों की कोई ज़ंजीर न हो

जैसे ये मिरी अपनी सूरत मिरे सामने हो और कहती हो
मिरे शाएर तेरे साथ हूँ मैं मायूस न हो दिल-गीर न हो

कोई हो तो मोहब्बत ऐसी हो मुझे धूप और साए में जिस के
किसी जज़्बे का आज़ार न हो किसी ख़्वाहिश की ताज़ीर न हो

- Obaidullah Aleem
0 Likes

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari