ab tu ho kisi rang mein zaahir to mujhe kya
thehre tire ghar koi musaafir to mujhe kya
veeraana-e-jaan ki jo fazaa thi so rahegi
chahke kisi gulshan mein vo taair to mujhe kya
vo sham'a mere ghar mein to be-noor hi thehri
bazaar mein vo jins ho naadir to mujhe kya
vo rang-fishaan aankh vo tasveer-numa haath
dikhlaayen naye roz manaazir to mujhe kya
main ne use chaaha tha to chaaha na gaya main
chahe mujhe ab vo meri khaatir to mujhe kya
duniya ne to jaana ki numoo us mein hai meri
ab ho vo meri zaat ka munkir to mujhe kya
ik khwaab tha aur bujh gaya aankhon hi mein apni
ab koi pukaare mere shaair to mujhe kya
अब तू हो किसी रंग में ज़ाहिर तो मुझे क्या
ठहरे तिरे घर कोई मुसाफ़िर तो मुझे क्या
वीराना-ए-जाँ की जो फ़ज़ा थी सो रहेगी
चहके किसी गुलशन में वो ताइर तो मुझे क्या
वो शम्अ मिरे घर में तो बे-नूर ही ठहरी
बाज़ार में वो जिंस हो नादिर तो मुझे क्या
वो रंग-फ़िशाँ आँख वो तस्वीर-नुमा हाथ
दिखलाएँ नए रोज़ मनाज़िर तो मुझे क्या
मैं ने उसे चाहा था तो चाहा न गया मैं
चाहे मुझे अब वो मिरी ख़ातिर तो मुझे क्या
दुनिया ने तो जाना कि नुमू उस में है मेरी
अब हो वो मिरी ज़ात का मुनकिर तो मुझे क्या
इक ख़्वाब था और बुझ गया आँखों ही में अपनी
अब कोई पुकारे मिरे शाइर तो मुझे क्या
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Festive Shayari Shayari