dukhe hue hain hamein aur ab dukhaao mat | दुखे हुए हैं हमें और अब दुखाओ मत - Obaidullah Aleem

dukhe hue hain hamein aur ab dukhaao mat
jo ho gaye ho fasana to yaad aao mat

khayal-o-khwaab mein parchaaiyaan si naachti hain
ab is tarah to meri rooh mein samaao mat

zameen ke log to kya do dilon ki chaahat mein
khuda bhi ho to use darmiyaan laao mat

tumhaara sar nahin tiflaan-e-rah-guzar ke liye
dayaar-e-sang mein ghar se nikal ke jaao mat

sivaae apne kisi ke bhi ho nahin sakte
ham aur log hain logo hamein satao mat

hamaare ahad mein ye rasm-e-aashiqi thehri
faqeer ban ke raho aur sada lagao mat

wahi likho jo lahu ki zabaan se milta hai
sukhun ko parda-e-alfaaz mein chhupao mat

supurd kar hi diya aatish-e-hunar ke to phir
tamaam khaak hi ho jaao kuch bachao mat

दुखे हुए हैं हमें और अब दुखाओ मत
जो हो गए हो फ़साना तो याद आओ मत

ख़याल-ओ-ख़्वाब में परछाइयाँ सी नाचती हैं
अब इस तरह तो मिरी रूह में समाओ मत

ज़मीं के लोग तो क्या दो दिलों की चाहत में
ख़ुदा भी हो तो उसे दरमियान लाओ मत

तुम्हारा सर नहीं तिफ़्लान-ए-रह-गुज़र के लिए
दयार-ए-संग में घर से निकल के जाओ मत

सिवाए अपने किसी के भी हो नहीं सकते
हम और लोग हैं लोगो हमें सताओ मत

हमारे अहद में ये रस्म-ए-आशिक़ी ठहरी
फ़क़ीर बन के रहो और सदा लगाओ मत

वही लिखो जो लहू की ज़बाँ से मिलता है
सुख़न को पर्दा-ए-अल्फ़ाज़ में छुपाओ मत

सुपुर्द कर ही दिया आतिश-ए-हुनर के तो फिर
तमाम ख़ाक ही हो जाओ कुछ बचाओ मत

- Obaidullah Aleem
0 Likes

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari