sukhun mein sahal nahin jaan nikaal kar rakhna
ye zindagi hai hamaari sanbhaal kar rakhna
khula ki ishq nahin hai kuchh aur is ke siva
raza-e-yaar jo ho apna haal kar rakhna
usi ka kaam hai farsh-e-zameen bichha dena
usi ka kaam sitaare uchaal kar rakhna
usi ka kaam hai is dukh-bhare zamaane mein
mohabbaton se mujhe maala-maal kar rakhna
bas ek kaifiyat-e-dil mein bolte rahna
bas ek nashshe mein khud ko nihaal kar rakhna
bas ek qaamat-e-zeba ke khwaab mein rahna
basa ek shakhs ko hadd-e-misaal kar rakhna
guzarna husn ki nazzaaragi se pal-bhar ko
phir us ko zaaika-e-la-zawaal kar rakhna
kisi ke bas mein nahin tha kisi ke bas mein nahin
bulandiyon ko sada paayemaal kar rakhna
सुख़न में सहल नहीं जाँ निकाल कर रखना
ये ज़िंदगी है हमारी सँभाल कर रखना
खुला कि इश्क़ नहीं है कुछ और इस के सिवा
रज़ा-ए-यार जो हो अपना हाल कर रखना
उसी का काम है फ़र्श-ए-ज़मीं बिछा देना
उसी का काम सितारे उछाल कर रखना
उसी का काम है इस दुख-भरे ज़माने में
मोहब्बतों से मुझे माला-माल कर रखना
बस एक कैफ़ियत-ए-दिल में बोलते रहना
बस एक नश्शे में ख़ुद को निहाल कर रखना
बस एक क़ामत-ए-ज़ेबा के ख़्वाब में रहना
बसा एक शख़्स को हद्द-ए-मिसाल कर रखना
गुज़रना हुस्न की नज़्ज़ारगी से पल-भर को
फिर उस को ज़ाइक़ा-ए-ला-ज़वाल कर रखना
किसी के बस में नहीं था किसी के बस में नहीं
बुलंदियों को सदा पाएमाल कर रखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Kamar Shayari Shayari