koi dhun ho main tire geet hi gaaye jaaun
dard seene mein uthe shor machaaye jaaun
khwaab ban kar tu barsta rahe shabnam shabnam
aur bas main isee mausam mein nahaaye jaaun
tere hi rang utarte chale jaayen mujh mein
khud ko likkhoon tiri tasveer banaaye jaaun
jis ko milna nahin phir us se mohabbat kaisi
sochta jaaun magar dil mein basaaye jaaun
ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai
zindagi aa tujhe seene se lagaaye jaaun
yahi chehre mere hone ki gawaahi denge
har naye harf mein jaan apni samaaye jaaun
jaan to cheez hai kya rishta-e-jaan se aage
koi awaaz diye jaaye main aaye jaaun
shaayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aayein
dhoop mein chalta rahoon saaye bichhaaye jaaun
ahl-e-dil honge to samjhenge sukhun ko mere
bazm mein aa hi gaya hoon to sunaaye jaaun
कोई धुन हो मैं तिरे गीत ही गाए जाऊँ
दर्द सीने में उठे शोर मचाए जाऊँ
ख़्वाब बन कर तू बरसता रहे शबनम शबनम
और बस मैं इसी मौसम में नहाए जाऊँ
तेरे ही रंग उतरते चले जाएँ मुझ में
ख़ुद को लिक्खूँ तिरी तस्वीर बनाए जाऊँ
जिस को मिलना नहीं फिर उस से मोहब्बत कैसी
सोचता जाऊँ मगर दिल में बसाए जाऊँ
अब तू उस की हुई जिस पे मुझे प्यार आता है
ज़िंदगी आ तुझे सीने से लगाए जाऊँ
यही चेहरे मिरे होने की गवाही देंगे
हर नए हर्फ़ में जाँ अपनी समाए जाऊँ
जान तो चीज़ है क्या रिश्ता-ए-जाँ से आगे
कोई आवाज़ दिए जाए मैं आए जाऊँ
शायद इस राह पे कुछ और भी राही आएँ
धूप में चलता रहूँ साए बिछाए जाऊँ
अहल-ए-दिल होंगे तो समझेंगे सुख़न को मेरे
बज़्म में आ ही गया हूँ तो सुनाए जाऊँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Gham Shayari Shayari