hijr karte ya koi vasl guzaara karte | हिज्र करते या कोई वस्ल गुज़ारा करते

  - Obaidullah Aleem

hijr karte ya koi vasl guzaara karte
ham bahr-haal basar khwaab tumhaara karte

ek aisi bhi ghadi ishq mein aayi thi ki ham
khaak ko haath lagaate to sitaara karte

ab to mil jaao hamein tum ki tumhaari khaatir
itni door aa gaye duniya se kinaara karte

mehav-e-aaraish-e-rukh hai vo qayamat sar-e-baam
aankh agar aaina hoti to nazaara karte

ek chehre mein to mumkin nahin itne chehre
kis se karte jo koi ishq dobara karte

jab hai ye khaana-e-dil aap ki khilwat ke liye
phir koi aaye yahan kaise gawara karte

kaun rakhta hai andhere mein diya aankh mein khwaab
teri jaanib hi tire log ishaara karte

zarf-e-aaina kahaan aur tira husn kahaan
ham tire chehre se aaina sanwaara karte

हिज्र करते या कोई वस्ल गुज़ारा करते
हम बहर-हाल बसर ख़्वाब तुम्हारा करते

एक ऐसी भी घड़ी इश्क़ में आई थी कि हम
ख़ाक को हाथ लगाते तो सितारा करते

अब तो मिल जाओ हमें तुम कि तुम्हारी ख़ातिर
इतनी दूर आ गए दुनिया से किनारा करते

मेहव-ए-आराइश-ए-रुख़ है वो क़यामत सर-ए-बाम
आँख अगर आईना होती तो नज़ारा करते

एक चेहरे में तो मुमकिन नहीं इतने चेहरे
किस से करते जो कोई इश्क़ दोबारा करते

जब है ये ख़ाना-ए-दिल आप की ख़ल्वत के लिए
फिर कोई आए यहाँ कैसे गवारा करते

कौन रखता है अँधेरे में दिया आँख में ख़्वाब
तेरी जानिब ही तिरे लोग इशारा करते

ज़र्फ़-ए-आईना कहाँ और तिरा हुस्न कहाँ
हम तिरे चेहरे से आईना सँवारा करते

  - Obaidullah Aleem

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari