ajeeb thi vo ajab tarah chahta tha main
vo baat karti thi aur khwaab dekhta tha main
visaal ka ho ki us ke firaq ka mausam
vo lazzaaten theen ki andar se tootaa tha main
chadha hua tha vo nashsha ki kam na hota tha
hazaar baar ubharta tha doobta tha main
badan ka khel theen us ki mohabbatein lekin
jo bhed jism ke the jaan se kholta tha main
phir is tarah kabhi soya na is tarah jaaga
ki rooh neend mein thi aur jaagta tha main
kahaan shikast hui aur kahaan sila paaya
kisi ka ishq kisi se nibahta tha main
main ahl-e-zar ke muqaabil mein tha faqat shaayar
magar main jeet gaya lafz haarta tha main
अजीब थी वो अजब तरह चाहता था मैं
वो बात करती थी और ख़्वाब देखता था मैं
विसाल का हो कि उस के फ़िराक़ का मौसम
वो लज़्ज़तें थीं कि अंदर से टूटता था मैं
चढ़ा हुआ था वो नश्शा कि कम न होता था
हज़ार बार उभरता था डूबता था मैं
बदन का खेल थीं उस की मोहब्बतें लेकिन
जो भेद जिस्म के थे जाँ से खोलता था मैं
फिर इस तरह कभी सोया न इस तरह जागा
कि रूह नींद में थी और जागता था मैं
कहाँ शिकस्त हुई और कहाँ सिला पाया
किसी का इश्क़ किसी से निबाहता था मैं
मैं अहल-ए-ज़र के मुक़ाबिल में था फ़क़त शाएर
मगर मैं जीत गया लफ़्ज़ हारता था मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Baaten Shayari Shayari