ek main bhi hoon kulah-daaron ke beech | एक मैं भी हूँ कुलह-दारों के बीच

  - Obaidullah Aleem

ek main bhi hoon kulah-daaron ke beech
meer sahab ke parstaaron ke beech

raushni aadhi idhar aadhi udhar
ik diya rakha hai deewaron ke beech

main akeli aankh tha kya dekhta
aaina-khaane the nazzaaron ke beech

hai yaqeen mujh ko ki sayyaare pe hoon
aadmi rahte hain sayyaaron ke beech

kha gaya insaan ko aashob-e-maa'ash
aa gaye hain shehar bazaaron ke beech

main faqeer ibn-e-faqeer ibn-e-faqeer
aur askandar hoon sardaaron ke beech

apni veeraani ke gauhar rolta
raqs mein hoon aur bazaaron ke beech

koi us kaafir ko us lamhe sune
guftugoo karta hai jab yaaron ke beech

ahl-e-dil ke darmiyaan the meer tum
ab sukhun hai shobda-kaaron ke beech

aankh waale ko nazar aaye aleem
ik mohammad-mustafa saaron ke beech

एक मैं भी हूँ कुलह-दारों के बीच
'मीर' साहब के परस्तारों के बीच

रौशनी आधी इधर आधी उधर
इक दिया रक्खा है दीवारों के बीच

मैं अकेली आँख था क्या देखता
आईना-ख़ाने थे नज़्ज़ारों के बीच

है यक़ीं मुझ को कि सय्यारे पे हूँ
आदमी रहते हैं सय्यारों के बीच

खा गया इंसाँ को आशोब-ए-मआश
आ गए हैं शहर बाज़ारों के बीच

मैं फ़क़ीर इब्न-ए-फ़क़ीर इब्न-ए-फ़क़ीर
और अस्कंदर हूँ सरदारोँ के बीच

अपनी वीरानी के गौहर रोलता
रक़्स में हूँ और बाज़ारों के बीच

कोई उस काफ़िर को उस लम्हे सुने
गुफ़्तुगू करता है जब यारों के बीच

अहल-ए-दिल के दरमियाँ थे 'मीर' तुम
अब सुख़न है शोबदा-कारों के बीच

आँख वाले को नज़र आए 'अलीम'
इक मोहम्मद-मुस्तफ़ा सारों के बीच

  - Obaidullah Aleem

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari