tere pyaar mein rusva ho kar jaayen kahaan deewane log | तेरे प्यार में रुस्वा हो कर जाएँ कहाँ दीवाने लोग - Obaidullah Aleem

tere pyaar mein rusva ho kar jaayen kahaan deewane log
jaane kya kya pooch rahe hain ye jaane-pahchaane log

har lamha ehsaas ki sahaba rooh mein dhalti jaati hai
zeest ka nashsha kuch kam ho to ho aayein may-khaane log

jaise tumhein ham ne chaaha hai kaun bhala yun chahega
maana aur bahut aayenge tum se pyaar jataane log

yun galiyon bazaaron mein aawaara firte rahte hain
jaise is duniya mein sabhi aaye hon umr ganwaane log

aage peeche daayein baayein saaye se lehraate hain
duniya bhi to dast-e-bala hai ham hi nahin deewane log

kaise dukhon ke mausam aaye kaisi aag lagi yaaro
ab seharaaon se laate hain phoolon ke nazaane log

kal maatam be-qeemat hoga aaj un ki tauqeer karo
dekho khoon-e-jigar se kya kya likhte hain afsaane log

तेरे प्यार में रुस्वा हो कर जाएँ कहाँ दीवाने लोग
जाने क्या क्या पूछ रहे हैं ये जाने-पहचाने लोग

हर लम्हा एहसास की सहबा रूह में ढलती जाती है
ज़ीस्त का नश्शा कुछ कम हो तो हो आएँ मय-ख़ाने लोग

जैसे तुम्हें हम ने चाहा है कौन भला यूँ चाहेगा
माना और बहुत आएँगे तुम से प्यार जताने लोग

यूँ गलियों बाज़ारों में आवारा फिरते रहते हैं
जैसे इस दुनिया में सभी आए हों उम्र गँवाने लोग

आगे पीछे दाएँ बाएँ साए से लहराते हैं
दुनिया भी तो दश्त-ए-बला है हम ही नहीं दीवाने लोग

कैसे दुखों के मौसम आए कैसी आग लगी यारो
अब सहराओं से लाते हैं फूलों के नज़राने लोग

कल मातम बे-क़ीमत होगा आज उन की तौक़ीर करो
देखो ख़ून-ए-जिगर से क्या क्या लिखते हैं अफ़्साने लोग

- Obaidullah Aleem
1 Like

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari