kuchh to batao shair-e-bedaar kya hua | कुछ तो बताओ शाइर-ए-बेदार क्या हुआ

  - Obaidullah Aleem

kuchh to batao shair-e-bedaar kya hua
kis ki talash hai tumhein aur kaun kho gaya

aankhon mein raushni bhi hai veeraaniyaan bhi hain
ik chaand saath saath hai ik chaand gah gaya

tum hum-safar hue to hui zindagi aziz
mujh mein to zindagi ka koi hausla na tha

tum hi kaho ki ho bhi sakega mera ilaaj
agli mohabbaton ke mere zakhm-aashna

jhaanka hai main ne khalvat-e-jaan mein nigaar-e-jaan
koi nahin hai koi nahin hai tire siva

vo aur tha koi jise dekha hai bazm mein
gar mujh ko dhundna hai meri khalvaton mein aa

ai mere khwaab aa meri aankhon ko rang de
ai meri raushni tu mujhe raasta dikha

ab aa bhi ja ki subh se pehle hi bujh na jaaun
ai mere aftaab bahut tez hai hawa

ya-rab ata ho zakham koi sher-aafreen
ik umr ho gai ki mera dil nahin dukha

vo daur aa gaya hai ki ab sahibaan-e-dard
jo khwaab dekhte hain wahi khwaab na-rasa

daaman bane to rang hua dastaras se door
mauj-e-hawa hue to hai khushboo gurez-paa

likhein bhi kya ki ab koi ahwaal-e-dil nahin
cheekhen bhi kya ki ab koi sunta nahin sada

aankhon mein kuchh nahin hai b-juz khaak-e-rahguzar
seene mein kuchh nahin hai b-juz naala-o-nawa

pehchaan lo hamein ki tumhaari sada hain ham
sun lo ki phir na aayenge ham se ghazal-sara

कुछ तो बताओ शाइर-ए-बेदार क्या हुआ
किस की तलाश है तुम्हें और कौन खो गया

आँखों में रौशनी भी है वीरानियाँ भी हैं
इक चाँद साथ साथ है इक चाँद गह गया

तुम हम-सफ़र हुए तो हुई ज़िंदगी अज़ीज़
मुझ में तो ज़िंदगी का कोई हौसला न था

तुम ही कहो कि हो भी सकेगा मिरा इलाज
अगली मोहब्बतों के मिरे ज़ख़्म-आश्ना

झाँका है मैं ने ख़ल्वत-ए-जाँ में निगार-ए-जाँ
कोई नहीं है कोई नहीं है तिरे सिवा

वो और था कोई जिसे देखा है बज़्म में
गर मुझ को ढूँडना है मिरी ख़ल्वतों में आ

ऐ मेरे ख़्वाब आ मिरी आँखों को रंग दे
ऐ मेरी रौशनी तू मुझे रास्ता दिखा

अब आ भी जा कि सुब्ह से पहले ही बुझ न जाऊँ
ऐ मेरे आफ़्ताब बहुत तेज़ है हवा

या-रब अता हो ज़ख़्म कोई शेर-आफ़रीं
इक उम्र हो गई कि मिरा दिल नहीं दुखा

वो दौर आ गया है कि अब साहिबान-ए-दर्द
जो ख़्वाब देखते हैं वही ख़्वाब ना-रसा

दामन बने तो रंग हुआ दस्तरस से दूर
मौज-ए-हवा हुए तो है ख़ुश्बू गुरेज़-पा

लिक्खें भी क्या कि अब कोई अहवाल-ए-दिल नहीं
चीख़ें भी क्या कि अब कोई सुनता नहीं सदा

आँखों में कुछ नहीं है ब-जुज़ ख़ाक-ए-रहगुज़र
सीने में कुछ नहीं है ब-जुज़ नाला-ओ-नवा

पहचान लो हमें कि तुम्हारी सदा हैं हम
सुन लो कि फिर न आएँगे हम से ग़ज़ल-सरा

  - Obaidullah Aleem

Eid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Eid Shayari Shayari