mitti tha main khameer tire naaz se utha | मिट्टी था मैं ख़मीर तिरे नाज़ से उठा

  - Obaidullah Aleem

mitti tha main khameer tire naaz se utha
phir haft-aasmaan meri parwaaz se utha

insaan ho kisi bhi sadi ka kahi ka ho
ye jab utha zameer ki awaaz se utha

subh-e-chaman mein ek yahi aftaab tha
is aadmi ki laash ko ezaaz se utha

sau kartabon se likhkhá gaya ek ek lafz
lekin ye jab utha kisi ejaz se utha

ai shehsawar-e-husn ye dil hai ye mera dil
ye teri sar-zameen hai qadam naaz se utha

main pooch luun ki kya hai mera jabr o ikhtiyaar
ya-rab ye mas'ala kabhi aaghaaz se utha

vo abr shabnami tha ki nahla gaya vujood
main khwaab dekhta hua alfaaz se utha

shaayar ki aankh ka vo sitaara hua aleem
qamat mein jo qayaamati andaaz se utha

मिट्टी था मैं ख़मीर तिरे नाज़ से उठा
फिर हफ़्त-आसमाँ मिरी पर्वाज़ से उठा

इंसान हो किसी भी सदी का कहीं का हो
ये जब उठा ज़मीर की आवाज़ से उठा

सुब्ह-ए-चमन में एक यही आफ़्ताब था
इस आदमी की लाश को एज़ाज़ से उठा

सौ करतबों से लिख्खा गया एक एक लफ़्ज़
लेकिन ये जब उठा किसी एजाज़ से उठा

ऐ शहसवार-ए-हुस्न ये दिल है ये मेरा दिल
ये तेरी सर-ज़मीं है क़दम नाज़ से उठा

मैं पूछ लूँ कि क्या है मिरा जब्र ओ इख़्तियार
या-रब ये मसअला कभी आग़ाज़ से उठा

वो अब्र शबनमी था कि नहला गया वजूद
मैं ख़्वाब देखता हुआ अल्फ़ाज़ से उठा

शाएर की आँख का वो सितारा हुआ 'अलीम'
क़ामत में जो क़यामती अंदाज़ से उठा

  - Obaidullah Aleem

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari