ham ne khulne na diya be-sar-o-saamaani ko | हम ने खुलने न दिया बे-सर-ओ-सामानी को

  - Obaidullah Aleem

ham ne khulne na diya be-sar-o-saamaani ko
kahaan le jaayen magar shehar ki veeraani ko

sirf guftaar se zakhamon ka rafu chahte hain
ye siyaasat hai to phir kya kahi nadaani ko

koi taqseem nayi kar ke chala jaata hai
jo bhi aata hai mere ghar ki nigahbaani ko

ab kahaan jaaun ki ghar mein bhi hoon dushman apna
aur baahar mera dushman hai nigahbaani ko

be-hisi vo hai ki karta nahin insaan mehsoos
apni hi rooh mein aayi hui tughyaani ko

aaj bhi us ko faraaz aaj bhi aali hai wahi
wahi sajda jo kare waqt ki sultaani ko

aaj yusuf pe agar waqt ye laaye ho to kya
kal tumheen takht bhi doge isee zindaani ko

subh khalne ki ho ya shaam bikhar jaane ki
ham ne khushboo hi kiya apni pareshaani ko

vo bhi har-aan naya meri mohabbat bhi nayi
jalwa-e-husn kashish hai meri hairaani ko

kooza-e-harf mein laaya hoon tumhaari khaatir
rooh par utre hue ek ajab paani ko

हम ने खुलने न दिया बे-सर-ओ-सामानी को
कहाँ ले जाएँ मगर शहर की वीरानी को

सिर्फ़ गुफ़्तार से ज़ख़्मों का रफ़ू चाहते हैं
ये सियासत है तो फिर क्या कहीं नादानी को

कोई तक़्सीम नई कर के चला जाता है
जो भी आता है मिरे घर की निगहबानी को

अब कहाँ जाऊँ कि घर में भी हूँ दुश्मन अपना
और बाहर मिरा दुश्मन है निगहबानी को

बे-हिसी वो है कि करता नहीं इंसाँ महसूस
अपनी ही रूह में आई हुई तुग़्यानी को

आज भी उस को फ़राज़ आज भी आली है वही
वही सज्दा जो करे वक़्त की सुल्तानी को

आज यूसुफ़ पे अगर वक़्त ये लाए हो तो क्या
कल तुम्हीं तख़्त भी दोगे इसी ज़िंदानी को

सुब्ह खलने की हो या शाम बिखर जाने की
हम ने ख़ुशबू ही किया अपनी परेशानी को

वो भी हर-आन नया मेरी मोहब्बत भी नई
जल्वा-ए-हुस्न कशिश है मिरी हैरानी को

कूज़ा-ए-हर्फ़ में लाया हूँ तुम्हारी ख़ातिर
रूह पर उतरे हुए एक अजब पानी को

  - Obaidullah Aleem

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari