koocha-e-ishq se kuchh khwaab utha kar le aaye | कूचा-ए-इश्क़ से कुछ ख़्वाब उठा कर ले आए

  - Obaidullah Aleem

koocha-e-ishq se kuchh khwaab utha kar le aaye
the gada tohfa-e-nayaab utha kar le aaye

kaun si kashti mein baitheen tire bande maula
ab jo duniya koi sailaab utha kar le aaye

haaye vo log gaye chaand se milne aur phir
apne hi toote hue khwaab utha kar le aaye

aisa ziddi tha mera ishq na bahla phir bhi
log sach-much kai mahtaab utha kar le aaye

satah-e-saahil na rahi jab koi qeemat in ki
ham khazaano ko tah-e-aab utha kar le aaye

jab mila husn bhi harjaai to us bazm se ham
ishq-e-aawara ko betaab utha kar le aaye

is ko kam-zarfi-e-rindaan-e-giraami kahiye
nashe chhod aaye may-e-naab utha kar le aaye

anjuman-saazi-e-arbaab-e-hunar kya kahiye
un ko vo aur unhen ahbaab utha kar le aaye

ham vo shaair hamein likhne lage jab log to ham
guftugoo ke naye aadaab utha kar le aaye

khwaab mein lazzat-e-yak-khwaab hai duniya meri
aur mere falsafi asbaab utha kar le aaye

कूचा-ए-इश्क़ से कुछ ख़्वाब उठा कर ले आए
थे गदा तोहफ़ा-ए-नायाब उठा कर ले आए

कौन सी कश्ती में बैठें तिरे बंदे मौला
अब जो दुनिया कोई सैलाब उठा कर ले आए

हाए वो लोग गए चाँद से मिलने और फिर
अपने ही टूटे हुए ख़्वाब उठा कर ले आए

ऐसा ज़िद्दी था मिरा इश्क़ न बहला फिर भी
लोग सच-मुच कई महताब उठा कर ले आए

सतह-ए-साहिल न रही जब कोई क़ीमत इन की
हम ख़ज़ानों को तह-ए-आब उठा कर ले आए

जब मिला हुस्न भी हरजाई तो उस बज़्म से हम
इश्क़-ए-आवारा को बेताब उठा कर ले आए

इस को कम-ज़र्फ़ी-ए-रिंदान-ए-गिरामी कहिए
नशे छोड़ आए मय-ए-नाब उठा कर ले आए

अंजुमन-साज़ी-ए-अरबाब-ए-हुनर क्या कहिए
उन को वो और उन्हें अहबाब उठा कर ले आए

हम वो शाइर हमें लिखने लगे जब लोग तो हम
गुफ़्तुगू के नए आदाब उठा कर ले आए

ख़्वाब में लज़्ज़त-ए-यक-ख़्वाब है दुनिया मेरी
और मिरे फ़लसफ़ी अस्बाब उठा कर ले आए

  - Obaidullah Aleem

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari