har awaaz zamistaani hai har jazba zindaani hai
koocha-e-yaar se daar-o-rasan tak ek si hi veeraani hai
kitne koh-e-giraan kaate tab subh-e-tarab ki deed hui
aur ye subh-e-tarab bhi yaaro kahte hain begaani hai
jitne aag ke dariya mein sab paar humeen ko karna hain
duniya kis ke saath aayi hai duniya to deewani hai
lamha lamha khwaab dikhaaye aur sau sau ta'beer kare
lazzat-e-kam-aazaar bahut hai jis ka naam jawaani hai
dil kehta hai vo kuchh bhi ho us ki yaad jagaae rakh
aql ye kahti hai ki tawhahum par jeena nadaani hai
tere pyaar se pehle kab tha dil mein aisa soz-o-gudaaz
tujh se pyaar kiya to ham ne apni qeemat jaani hai
aap bhi kaise shehar mein aa kar shaair kahlaaye hain aleem
dard jahaan kamyab bahut hai nagmon ki arzaani hai
हर आवाज़ ज़मिस्तानी है हर जज़्बा ज़िंदानी है
कूचा-ए-यार से दार-ओ-रसन तक एक सी ही वीरानी है
कितने कोह-ए-गिराँ काटे तब सुब्ह-ए-तरब की दीद हुई
और ये सुब्ह-ए-तरब भी यारो कहते हैं बेगानी है
जितने आग के दरिया में सब पार हमीं को करना हैं
दुनिया किस के साथ आई है दुनिया तो दीवानी है
लम्हा लम्हा ख़्वाब दिखाए और सौ सौ ता'बीर करे
लज़्ज़त-ए-कम-आज़ार बहुत है जिस का नाम जवानी है
दिल कहता है वो कुछ भी हो उस की याद जगाए रख
अक़्ल ये कहती है कि तवहहुम पर जीना नादानी है
तेरे प्यार से पहले कब था दिल में ऐसा सोज़-ओ-गुदाज़
तुझ से प्यार किया तो हम ने अपनी क़ीमत जानी है
आप भी कैसे शहर में आ कर शाइर कहलाए हैं 'अलीम'
दर्द जहाँ कमयाब बहुत है नग़्मों की अर्ज़ानी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Deedar Shayari Shayari