khwaab hi khwaab kab talak dekhoon
kaash tujh ko bhi ik jhalak dekhoon
chaandni ka samaan tha aur ham tum
ab sitaare palak palak dekhoon
jaane tu kis ka hum-safar hoga
main tujhe apni jaan talak dekhoon
band kyun zaat mein rahoon apni
mauj ban jaaun aur chhalk dekhoon
subh mein der hai to phir ik baar
shab ke rukhsaar se dhalak dekhoon
un ke qadmon tale falak aur main
sirf pahnaai-e-falak dekhoon
ख़्वाब ही ख़्वाब कब तलक देखूँ
काश तुझ को भी इक झलक देखूँ
चाँदनी का समाँ था और हम तुम
अब सितारे पलक पलक देखूँ
जाने तू किस का हम-सफ़र होगा
मैं तुझे अपनी जाँ तलक देखूँ
बंद क्यूँ ज़ात में रहूँ अपनी
मौज बन जाऊँ और छलक देखूँ
सुब्ह में देर है तो फिर इक बार
शब के रुख़्सार से ढलक देखूँ
उन के क़दमों तले फ़लक और मैं
सिर्फ़ पहनाई-ए-फ़लक देखूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Fantasy Shayari Shayari