vo raat be-panaah thi aur main gareeb tha
vo jis ne ye charaagh jalaya ajeeb tha
vo raushni ki aankh uthaai nahin gai
kal mujh se mera chaand bahut hi qareeb tha
dekha mujhe to taba ravaan ho gai meri
vo muskuraa diya to main shayar adeeb tha
rakhta na kyun main rooh o badan us ke saamne
vo yun bhi tha tabeeb vo yun bhi tabeeb tha
har silsila tha us ka khuda se mila hua
chup ho ki lab-kusha ho bala ka khateeb tha
mauj-e-nashaat o sail-e-gham-e-jaan the ek saath
gulshan mein naghma-sanj ajab andaleeb tha
main bhi raha hoon khalvat-e-jaanan mein ek shaam
ye khwaab hai ya waqai main khush-naseeb tha
harf-e-dua o dast-e-sakhawat ke baab mein
khud mera tajurba hai vo be-had najeeb tha
dekha hai us ko khilwat o jalvat mein baar-ha
vo aadmi bahut hi ajeeb-o-ghareeb tha
likkho tamaam umr magar phir bhi tum aleem
us ko dikha na paao vo aisa habeeb tha
वो रात बे-पनाह थी और मैं ग़रीब था
वो जिस ने ये चराग़ जलाया अजीब था
वो रौशनी कि आँख उठाई नहीं गई
कल मुझ से मेरा चाँद बहुत ही क़रीब था
देखा मुझे तो तब्अ रवाँ हो गई मिरी
वो मुस्कुरा दिया तो मैं शायर अदीब था
रखता न क्यूँ मैं रूह ओ बदन उस के सामने
वो यूँ भी था तबीब वो यूँ भी तबीब था
हर सिलसिला था उस का ख़ुदा से मिला हुआ
चुप हो कि लब-कुशा हो बला का ख़तीब था
मौज-ए-नशात ओ सैल-ए-ग़म-ए-जाँ थे एक साथ
गुलशन में नग़्मा-संज अजब अंदलीब था
मैं भी रहा हूँ ख़ल्वत-ए-जानाँ में एक शाम
ये ख़्वाब है या वाक़ई मैं ख़ुश-नसीब था
हर्फ़-ए-दुआ ओ दस्त-ए-सख़ावत के बाब में
ख़ुद मेरा तजरबा है वो बे-हद नजीब था
देखा है उस को ख़ल्वत ओ जल्वत में बार-हा
वो आदमी बहुत ही अजीब-ओ-ग़रीब था
लिक्खो तमाम उम्र मगर फिर भी तुम 'अलीम'
उस को दिखा न पाओ वो ऐसा हबीब था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Relationship Shayari Shayari