guzaro na is tarah ki tamasha nahin hoon main
samjho ki ab hoon aur dobara nahin hoon main
ik taba rang rang thi so nazr-e-gul hui
ab ye ki apne saath bhi rehta nahin hoon main
tum ne bhi mere saath uthaaye hain dukh bahut
khush hoon ki raah-e-shauq mein tanhaa nahin hoon main
peeche na bhag waqt ki ai na-shanaas dhoop
saayo ke darmiyaan hoon saaya nahin hoon main
jo kuchh bhi hoon main apni hi soorat mein hoon aleem
ghalib nahin hoon meer-o-yagaana nahin hoon main
गुज़रो न इस तरह कि तमाशा नहीं हूँ मैं
समझो कि अब हूँ और दोबारा नहीं हूँ मैं
इक तब्अ' रंग रंग थी सो नज़्र-ए-गुल हुई
अब ये कि अपने साथ भी रहता नहीं हूँ मैं
तुम ने भी मेरे साथ उठाए हैं दुख बहुत
ख़ुश हूँ कि राह-ए-शौक़ में तन्हा नहीं हूँ मैं
पीछे न भाग वक़्त की ऐ ना-शनास धूप
सायों के दरमियान हूँ साया नहीं हूँ मैं
जो कुछ भी हूँ मैं अपनी ही सूरत में हूँ 'अलीम'
'ग़ालिब' नहीं हूँ 'मीर'-ओ-'यगाना' नहीं हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Festive Shayari Shayari