bana gulaab to kaante chubha gaya ik shakhs
hua charaagh to ghar hi jala gaya ik shakhs
tamaam rang mere aur saare khwaab mere
fasana the ki fasana bana gaya ik shakhs
main kis hawa mein udoon kis fazaa mein lehraaoon
dukhon ke jaal har ik soo bichha gaya ik shakhs
palat sakoon hi na aage hi badh sakoon jis par
mujhe ye kaun se raaste laga gaya ik shakhs
mohabbatein bhi ajab us ki nafratein bhi kamaal
meri hi tarah ka mujh mein samaa gaya ik shakhs
mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use
mile vo zakham ki phir yaad aa gaya ik shakhs
khula ye raaz ki aaina-khaana hai duniya
aur us mein mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs
बना गुलाब तो काँटे चुभा गया इक शख़्स
हुआ चराग़ तो घर ही जला गया इक शख़्स
तमाम रंग मिरे और सारे ख़्वाब मिरे
फ़साना थे कि फ़साना बना गया इक शख़्स
मैं किस हवा में उड़ूँ किस फ़ज़ा में लहराऊँ
दुखों के जाल हर इक सू बिछा गया इक शख़्स
पलट सकूँ ही न आगे ही बढ़ सकूँ जिस पर
मुझे ये कौन से रस्ते लगा गया इक शख़्स
मोहब्बतें भी अजब उस की नफ़रतें भी कमाल
मिरी ही तरह का मुझ में समा गया इक शख़्स
मोहब्बतों ने किसी की भुला रखा था उसे
मिले वो ज़ख़्म कि फिर याद आ गया इक शख़्स
खुला ये राज़ कि आईना-ख़ाना है दुनिया
और उस में मुझ को तमाशा बना गया इक शख़्स
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Anjam Shayari Shayari