vehshat usi se phir bhi wahi yaar dekhna | वहशत उसी से फिर भी वही यार देखना

  - Obaidullah Aleem

vehshat usi se phir bhi wahi yaar dekhna
paagal ko jaise chaand ka deedaar dekhna

is hijrati ko kaam hua hai ki raat din
bas vo charaagh aur vo deewaar dekhna

paanv mein ghoomti hai zameen aasmaan talak
is tifl-e-sheer-khwaar ki raftaar dekhna

ya-rab koi sitaara-e-ummeed phir tulu
kya ho gaye zameen ke aasaar dekhna

lagta hai jaise koi wali hai zuhoor mein
ab shaam ko kahi koi may-khwaar dekhna

is vahshati ka haal ajab hai ki us taraf
jaana bhi aur jaanib-e-pindaar dekhna

dekha tha khwaab shair-e-momin ne is liye
taabeer mein mila hamein talwaar dekhna

jo dil ko hai khabar kahi milti nahin khabar
har subh ik azaab hai akhbaar dekhna

main ne suna hai qurb-e-qayamat ka hai nishaan
be-qaamati pe jubbaa-o-dastaar dekhna

sadiyaan guzar rahi hain magar raushni wahi
ye sar hai ya charaagh sar-e-daar dekhna

is qafile ne dekh liya karbala ka din
ab rah gaya hai shaam ka bazaar dekhna

do chaar ke siva yahan likhta ghazal hai kaun
ye kaun hain ye kis ke taraf-daar dekhna

वहशत उसी से फिर भी वही यार देखना
पागल को जैसे चाँद का दीदार देखना

इस हिज्रती को काम हुआ है कि रात दिन
बस वो चराग़ और वो दीवार देखना

पाँव में घूमती है ज़मीं आसमाँ तलक
इस तिफ़्ल-ए-शीर-ख़्वार की रफ़्तार देखना

या-रब कोई सितारा-ए-उम्मीद फिर तुलू
क्या हो गए ज़मीन के आसार देखना

लगता है जैसे कोई वली है ज़ुहूर में
अब शाम को कहीं कोई मय-ख़्वार देखना

इस वहशती का हाल अजब है कि उस तरफ़
जाना भी और जानिब-ए-पिंदार देखना

देखा था ख़्वाब शायर-ए-मोमिन ने इस लिए
ताबीर में मिला हमें तलवार देखना

जो दिल को है ख़बर कहीं मिलती नहीं ख़बर
हर सुब्ह इक अज़ाब है अख़बार देखना

मैं ने सुना है क़ुर्ब-ए-क़यामत का है निशाँ
बे-क़ामती पे जुब्बा-ओ-दस्तार देखना

सदियाँ गुज़र रही हैं मगर रौशनी वही
ये सर है या चराग़ सर-ए-दार देखना

इस क़ाफ़िले ने देख लिया कर्बला का दिन
अब रह गया है शाम का बाज़ार देखना

दो चार के सिवा यहाँ लिखता ग़ज़ल है कौन
ये कौन हैं ये किस के तरफ़-दार देखना

  - Obaidullah Aleem

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari