zameen jab bhi hui karbala hamaare liye | ज़मीन जब भी हुई कर्बला हमारे लिए - Obaidullah Aleem

zameen jab bhi hui karbala hamaare liye
to aasmaan se utara khuda hamaare liye

unhen ghuroor ki rakhte hain taqat o kasrat
hamein ye naaz bahut hai khuda hamaare liye

tumhaare naam pe jis aag mein jalaae gaye
vo aag phool hai vo keemiya hamaare liye

bas ek lau mein usi lau ke gird ghoomte hain
jala rakha hai jo us ne diya hamaare liye

vo jis pe raat sitaare liye utarti hai
vo ek shakhs dua hi dua hamaare liye

vo noor noor damkata hua sa ik chehra
vo aainon mein haya hi haya hamaare liye

darood padhte hue us ki deed ko niklen
to subh phool bichhaaye saba hamaare liye

ajeeb kaifiyat-e-jazb-o-haal rakhti hai
tumhaare shehar ki aab-o-hawa hamaare liye

diye jalaae hue saath saath rahti hai
tumhaari yaad tumhaari dua hamaare liye

zameen hai na zamaan neend hai na be-daari
vo chaanv chaanv sa ik silsila hamaare liye

sukhan-varon mein kahi ek ham bhi the lekin
sukhun ka aur hi tha zaa'ika hamaare liye

ज़मीन जब भी हुई कर्बला हमारे लिए
तो आसमान से उतरा ख़ुदा हमारे लिए

उन्हें ग़ुरूर कि रखते हैं ताक़त ओ कसरत
हमें ये नाज़ बहुत है ख़ुदा हमारे लिए

तुम्हारे नाम पे जिस आग में जलाए गए
वो आग फूल है वो कीमिया हमारे लिए

बस एक लौ में उसी लौ के गिर्द घूमते हैं
जला रखा है जो उस ने दिया हमारे लिए

वो जिस पे रात सितारे लिए उतरती है
वो एक शख़्स दुआ ही दुआ हमारे लिए

वो नूर नूर दमकता हुआ सा इक चेहरा
वो आईनों में हया ही हया हमारे लिए

दरूद पढ़ते हुए उस की दीद को निकलें
तो सुब्ह फूल बिछाए सबा हमारे लिए

अजीब कैफ़ियत-ए-जज़्ब-ओ-हाल रखती है
तुम्हारे शहर की आब-ओ-हवा हमारे लिए

दिए जलाए हुए साथ साथ रहती है
तुम्हारी याद तुम्हारी दुआ हमारे लिए

ज़मीन है न ज़माँ नींद है न बे-दारी
वो छाँव छाँव सा इक सिलसिला हमारे लिए

सुख़न-वरों में कहीं एक हम भी थे लेकिन
सुख़न का और ही था ज़ाइक़ा हमारे लिए

- Obaidullah Aleem
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidullah Aleem

As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem

Similar Writers

our suggestion based on Obaidullah Aleem

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari