aakhiri raat thi vo
main ne dil se ye kaha
harf jo likkhe gaye
aur jo zabaan boli gai
sabhi be-kaar gaye
main bhi ab haar gaya yaar bhi sab haar gaye
koi chaara nahin juz-tark-e-taalluq ai dil
ik sada aur sahi aakhiri baar
jism se chheda use rooh se choo le use
aakhiri baar bahe saaz-e-badan se koi naghma koi lai
aakhiri raat hai ye
aakhiri baar hai ye zaaika-e-bosa-o-lams
aakhiri baar chhalk jaaye lahu
garmi-e-jaan se mahak jaaye nafs ki khushboo
khwaab mein khwaab ke maanind utar ja ai dil
aakhiri raat thi vo
phir guzar koo-e-nadaamat se hua to dekha
baam raushan hai jo tha
aur darwaaze pe dastak hai wahi
mera qaateel dar-o-deewar pe kuchh naqsh banata hai abhi
ungaliyaan khoon se tar dil-e-kam-zarf ko hai waahm-e-arz-e-hunar
din ki har baat hui be-tauqeer
raat hai aur zameer
chashm hai muntazir-e-khwab-e-digar
khwaab aate hain theharte hain chale jaate hain
aur qaateel ki saza ye bhi ki main zinda hoon
आख़िरी रात थी वो
मैं ने दिल से ये कहा
हर्फ़ जो लिक्खे गए
और जो ज़बाँ बोली गई
सभी बे-कार गए
मैं भी अब हार गया यार भी सब हार गए
कोई चारा नहीं जुज़-तर्क-ए-तअल्लुक़ ऐ दिल
इक सदा और सही आख़िरी बार
जिस्म से छेड़ा उसे रूह से छू ले उसे
आख़िरी बार बहे साज़-ए-बदन से कोई नग़्मा कोई लै
आख़िरी रात है ये
आख़िरी बार है ये ज़ाइक़ा-ए-बोसा-ओ-लम्स
आख़िरी बार छलक जाए लहू
गर्मी-ए-जाँ से महक जाए नफ़स की ख़ुश्बू
ख़्वाब में ख़्वाब के मानिंद उतर जा ऐ दिल
आख़िरी रात थी वो
फिर गुज़र कू-ए-नदामत से हुआ तो देखा
बाम रौशन है जो था
और दरवाज़े पे दस्तक है वही
मेरा क़ातिल दर-ओ-दीवार पे कुछ नक़्श बनाता है अभी
उँगलियाँ ख़ून से तर दिल-ए-कम-ज़र्फ़ को है वाहम-ए-अर्ज़-ए-हुनर
दिन की हर बात हुई बे-तौक़ीर
रात है और ज़मीर
चश्म है मुंतज़िर-ए-ख़्वाब-ए-दिगर
ख़्वाब आते हैं ठहरते हैं चले जाते हैं
और क़ातिल की सज़ा ये भी कि मैं ज़िंदा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Baaten Shayari Shayari