main vo shajar tha
ki mere saaye mein baithne aur shaakhon pe jhoolne ki hazaaron jismoon ko aarzoo thi
zameen ki aankhen daraazi-e-umr ki duaon mein ro rahi theen
aur suraj ke haath thakte nahin the mujh ko sanwaarne mein
ki main ik awaaz ka safar tha
ajab shajar tha
ki us musaafir ka muntazir tha
jo mere saaye mein aa ke baithe to phir na utthe
jo meri shaakhon pe aaye jhoole to saare mausam yahin guzaare
magar vo paagal hawa ka jhonka magar vo paagal hawa ka jhonka
ajab musaafir tha raahguzaar ka
jo chhod aaya tha kitni shaakhen
magar laga yun ki jaise ab vo shikasta-tar hai
vo mere khwaabon ka hum-safar hai
so main ne saaye bichha diye the
tamaam jhoole hila diye the
magar vo paagal hawa ka jhonka magar vo paagal hawa ka jhonka
ajab musaafir tha raahguzaar tha
ki lamhe bhar mein guzar chuka tha
main be-numoo aur be-samar tha
magar main awaaz ka safar tha
so meri awaaz ka azar tha
ajab shajar tha
ajab shajar hoon
ki aane waale sah kah raha hoon
ai mere dil mein utarne waale
ai mujh ko shaadaab karne waale
tujhe meri raushni mubarak
tujhe meri zindagi mubarak
मैं वो शजर था
कि मेरे साए में बैठने और शाख़ों पे झूलने की हज़ारों जिस्मों को आरज़ू थी
ज़मीं की आँखें दराज़ी-ए-उम्र की दुआओं में रो रही थीं
और सूरज के हाथ थकते नहीं थे मुझ को सँवारने में
कि मैं इक आवाज़ का सफ़र था
अजब शजर था
कि उस मुसाफ़िर का मुंतज़िर था
जो मेरे साए में आ के बैठे तो फिर न उट्ठे
जो मेरी शाख़ों पे आए झूले तो सारे मौसम यहीं गुज़ारे
मगर वो पागल हवा का झोंका मगर वो पागल हवा का झोंका
अजब मुसाफ़िर था रहगुज़र का
जो छोड़ आया था कितनी शाख़ें
मगर लगा यूँ कि जैसे अब वो शिकस्ता-तर है
वो मेरे ख़्वाबों का हम-सफ़र है
सो मैं ने साए बिछा दिए थे
तमाम झूले हिला दिए थे
मगर वो पागल हवा का झोंका मगर वो पागल हवा का झोंका
अजब मुसाफ़िर था रहगुज़र था
कि लम्हे भर में गुज़र चुका था
मैं बे-नुमू और बे-समर था
मगर मैं आवाज़ का सफ़र था
सो मेरी आवाज़ का अजर था
अजब शजर था
अजब शजर हूँ
कि आने वाले सह कह रहा हूँ
ऐ मेरे दिल में उतरने वाले
ऐ मुझ को शादाब करने वाले
तुझे मिरी रौशनी मुबारक
तुझे मिरी ज़िंदगी मुबारक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Safar Shayari Shayari