rasta bhi kathin dhoop mein shiddat bhi bahut thi | रस्ता भी कठिन धूप में शिद्दत भी बहुत थी

  - Parveen Shakir

rasta bhi kathin dhoop mein shiddat bhi bahut thi
saaye se magar us ko mohabbat bhi bahut thi

kheme na koi mere musaafir ke jalaae
zakhmi tha bahut paanv masafat bhi bahut thi

sab dost mere muntazir-e-parda-e-shab the
din mein to safar karne mein diqqat bhi bahut thi

baarish ki duaon mein nami aankh ki mil jaaye
jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi

kuchh to tire mausam hi mujhe raas kam aaye
aur kuchh meri mitti mein bagaavat bhi bahut thi

phoolon ka bikhrna to muqaddar hi tha lekin
kuchh is mein hawaon ki siyaasat bhi bahut thi

vo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis ka tha shaahid
aur waqif-e-ahwaal-e-adaalat bhi bahut thi

is tark-e-rifaqat pe pareshaan to hoon lekin
ab tak ke tire saath pe hairat bhi bahut thi

khush aaye tujhe shehr-e-munaafiq ki ameeri
ham logon ko sach kehne ki aadat bhi bahut thi

रस्ता भी कठिन धूप में शिद्दत भी बहुत थी
साए से मगर उस को मोहब्बत भी बहुत थी

खे़मे न कोई मेरे मुसाफ़िर के जलाए
ज़ख़्मी था बहुत पाँव मसाफ़त भी बहुत थी

सब दोस्त मिरे मुंतज़िर-ए-पर्दा-ए-शब थे
दिन में तो सफ़र करने में दिक़्क़त भी बहुत थी

बारिश की दुआओं में नमी आँख की मिल जाए
जज़्बे की कभी इतनी रिफ़ाक़त भी बहुत थी

कुछ तो तिरे मौसम ही मुझे रास कम आए
और कुछ मिरी मिट्टी में बग़ावत भी बहुत थी

फूलों का बिखरना तो मुक़द्दर ही था लेकिन
कुछ इस में हवाओं की सियासत भी बहुत थी

वो भी सर-ए-मक़्तल है कि सच जिस का था शाहिद
और वाक़िफ़-ए-अहवाल-ए-अदालत भी बहुत थी

इस तर्क-ए-रिफ़ाक़त पे परेशाँ तो हूँ लेकिन
अब तक के तिरे साथ पे हैरत भी बहुत थी

ख़ुश आए तुझे शहर-ए-मुनाफ़िक़ की अमीरी
हम लोगों को सच कहने की आदत भी बहुत थी

  - Parveen Shakir

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari