vo ham nahin jinhen sahna ye jabr aa jaata | वो हम नहीं जिन्हें सहना ये जब्र आ जाता - Parveen Shakir

vo ham nahin jinhen sahna ye jabr aa jaata
tiri judaai mein kis tarah sabr aa jaata

faseelen tod na dete jo ab ke ahl-e-qafas
tu aur tarah ka elaan-e-jabr aa jaata

vo fasla tha dua aur mustajaabi mein
ki dhoop maangne jaate to abr aa jaata

vo mujh ko chhod ke jis aadmi ke paas gaya
baraabari ka bhi hota to sabr aa jaata

wazeer o shah bhi khas-khaanon se nikal aate
agar gumaan mein angaar-e-qabr aa jaata

वो हम नहीं जिन्हें सहना ये जब्र आ जाता
तिरी जुदाई में किस तरह सब्र आ जाता

फ़सीलें तोड़ न देते जो अब के अहल-ए-क़फ़स
तू और तरह का एलान-ए-जब्र आ जाता

वो फ़ासला था दुआ और मुस्तजाबी में
कि धूप माँगने जाते तो अब्र आ जाता

वो मुझ को छोड़ के जिस आदमी के पास गया
बराबरी का भी होता तो सब्र आ जाता

वज़ीर ओ शाह भी ख़स-ख़ानों से निकल आते
अगर गुमान में अँगार-ए-क़ब्र आ जाता

- Parveen Shakir
1 Like

Faasla Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Faasla Shayari Shayari