aaj ki shab to kisi taur guzar jaayegi | आज की शब तो किसी तौर गुज़र जाएगी

  - Parveen Shakir

aaj ki shab to kisi taur guzar jaayegi
raat gahri hai magar chaand chamakta hai abhi
mere maathe pe tira pyaar damkata hai abhi
meri saanson mein tira lams mahakta hai abhi
mere seene mein tira naam dhadakta hai abhi
zeest karne ko mere paas bahut kuchh hai abhi

teri awaaz ka jaadu hai abhi mere liye
tere malboos ki khushboo hai abhi mere liye
teri baanhe tira pahluu hai abhi mere liye
sab se badh kar meri jaan tu hai abhi mere liye
zeest karne ko mere paas bahut kuchh hai abhi
aaj ki shab to kisi taur guzar jaayegi
aaj ke b'ad magar rang-e-wafa kya hoga
ishq hairaan hai sar-e-sheher-e-saba kya hoga
mere qaateel tira andaaz-e-jafaa kya hoga

aaj ki shab to bahut kuchh hai magar kal ke liye
ek andesha-e-benaam hai aur kuchh bhi nahin
dekhna ye hai ki kal tujh se mulaqaat ke b'ad
rang-e-ummeed khilega ki bikhar jaayega
waqt parvaaz karega ki thehar jaayega
jeet ho jaayegi ya khel bigad jaayega
khwaab ka shehar rahega ki ujad jaayega

आज की शब तो किसी तौर गुज़र जाएगी
रात गहरी है मगर चाँद चमकता है अभी
मेरे माथे पे तिरा प्यार दमकता है अभी
मेरी साँसों में तिरा लम्स महकता है अभी
मेरे सीने में तिरा नाम धड़कता है अभी
ज़ीस्त करने को मिरे पास बहुत कुछ है अभी

तेरी आवाज़ का जादू है अभी मेरे लिए
तेरे मल्बूस की ख़ुश्बू है अभी मेरे लिए
तेरी बाँहें तिरा पहलू है अभी मेरे लिए
सब से बढ़ कर मिरी जाँ तू है अभी मेरे लिए
ज़ीस्त करने को मिरे पास बहुत कुछ है अभी
आज की शब तो किसी तौर गुज़र जाएगी!
आज के ब'अद मगर रंग-ए-वफ़ा क्या होगा
इश्क़ हैराँ है सर-ए-शहर-ए-सबा क्या होगा
मेरे क़ातिल तिरा अंदाज़-ए-जफ़ा क्या होगा!

आज की शब तो बहुत कुछ है मगर कल के लिए
एक अंदेशा-ए-बेनाम है और कुछ भी नहीं
देखना ये है कि कल तुझ से मुलाक़ात के ब'अद
रंग-ए-उम्मीद खिलेगा कि बिखर जाएगा
वक़्त पर्वाज़ करेगा कि ठहर जाएगा
जीत हो जाएगी या खेल बिगड़ जाएगा
ख़्वाब का शहर रहेगा कि उजड़ जाएगा

  - Parveen Shakir

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari