abhi main ne dahleez par paanv rakha hi tha ki | अभी मैं ने दहलीज़ पर पाँव रक्खा ही था कि

  - Parveen Shakir

abhi main ne dahleez par paanv rakha hi tha ki
kisi ne mere sar pe phoolon bhara thaal ulta diya
mere baalon pe aankhon pe palkon pe honton pe
maathe pe rukhsaar par
phool hi phool the
do bahut muskuraate hue hont
mere badan par mohabbat ki gulnaar mohron ko yun sabt karte
chale ja rahe the
ki jaise abad tak
meri ek ik por ka intisaab
apni zebaai ke naam le kar rahenge
mujhe apne andar samo kar rahenge

अभी मैं ने दहलीज़ पर पाँव रक्खा ही था कि
किसी ने मिरे सर पे फूलों भरा थाल उल्टा दिया
मेरे बालों पे आँखों पे पलकों पे, होंटों पे
माथे पे, रुख़्सार पर
फूल ही फूल थे
दो बहुत मुस्कुराते हुए होंट
मेरे बदन पर मोहब्बत की गुलनार मोहरों को यूँ सब्त करते
चले जा रहे थे
कि जैसे अबद तक
मिरी एक इक पोर का इंतिसाब
अपनी ज़ेबाई के नाम ले कर रहेंगे
मुझे अपने अंदर समो कर रहेंगे!

  - Parveen Shakir

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari