log marne lage hain ab hawa ke liye | लोग मरने लगे हैं अब हवा के लिए - Praveen Bhardwaj

log marne lage hain ab hawa ke liye
itni jaddojahad ek dava ke liye

humein waqt rahte ye jaan lena hain ki
koi kharch nahin lagta dua ke liye

hamse bhi poochiye hamaara haal-chaal aur
apna bhi khyaal rakhen khuda ke liye

akelapan bhi maar saka hain is waqt
kisi ko chhod mat dena kaza ke liye

लोग मरने लगे हैं अब हवा के लिए
इतनी जद्दोजहद एक दवा के लिए

हमें वक़्त रहते ये जान लेना हैं की
कोई खर्च नहीं लगता दुआ के लिए

हमसे भी पूछिये हमारा हाल-चाल और
अपना भी ख्याल रखें खुदा के लिए

अकेलापन भी मार सकता हैं इस वक़्त
किसी को छोड़ मत देना कज़ा के लिए

- Praveen Bhardwaj
3 Likes

Alone Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Praveen Bhardwaj

As you were reading Shayari by Praveen Bhardwaj

Similar Writers

our suggestion based on Praveen Bhardwaj

Similar Moods

As you were reading Alone Shayari Shayari