baatein karte hain mera ghar aur main
raah teri takte ye dar aur main
bewajah ye justajoo kar baitha dil
milte shaayad khwab-o-kaafir aur main
pa nahin sakti hai saahil ko lehar
muntazir tab bhi samundar aur main
dil ke armaan rote bharte siskiyaan
ban chuke hain ek patthar aur main
dard hai jeene ko laazim preet ke
yun hi jaane jaate shayar aur main
बातें करते हैं मेरा घर और मैं
राह तेरी तकते ये दर और मैं
बेवजह ये जुस्तजू कर बैठा दिल
मिलते शायद ख़्वाब-ओ-काफ़िर और मैं
पा नहीं सकती है साहिल को लहर
मुन्तज़िर तब भी समुन्दर और मैं
दिल के अरमाँ रोते भरते सिसकियाँ
बन चुके हैं एक पत्थर और मैं
दर्द है जीने को लाज़िम 'प्रीत' के
यूँ ही जाने जाते शायर और मैं
As you were reading Shayari by Harpreet Kaur
our suggestion based on Harpreet Kaur
As you were reading undefined Shayari