agar apne karein dhokha bharosa toot jaata hai
vo kacche dhaage kii dori sa rishta toot jaata hai
yahan matlab nikale log phir chehra na pahchaane
khuli aankhon se dekha aashiyana toot jaata hai
kisi kii bhi kahin baatein ye dil ab to nahin sunta
jo dekha tha kabhi hamne vo sapna toot jaata hai
chaman mein to bahaarein phoolon ke muskaanon se aati
khushi se hi hamaara kyun ye naata toot jaata hai
yaqeen ab to nahin hota kisi par preet ko yun hi
hamesha saath dene ka jo vaada toot jaata hai
अगर अपने करें धोखा भरोसा टूट जाता है
वो कच्चे धागे की डोरी सा रिश्ता टूट जाता है
यहाँ मतलब निकाले लोग फिर चेहरा न पहचाने
खुली आँखों से देखा आशियाना टूट जाता है
किसी की भी कहीं बातें ये दिल अब तो नहीं सुनता
जो देखा था कभी हमने वो सपना टूट जाता है
चमन में तो बहारें फूलों के मुस्कानों से आतीं
ख़ुशी से ही हमारा क्यों ये नाता टूट जाता है
यक़ीं अब तो नहीं होता किसी पर प्रीत को यूँ ही
हमेशा साथ देने का जो वादा टूट जाता है
As you were reading Shayari by Harpreet Kaur
our suggestion based on Harpreet Kaur
As you were reading undefined Shayari