jo chubhate ye baaton ke nashtar hamein
may-kashi kar dikhaate jo tevar hamein
hosh mein mil kabhi jo gaye phir sanam
dekhna karte belan se jauhar hamein
yun khafa kar ke jaana to aasaan hai
ab manana de kar koii zewar hamein
khud ko begam samajh aashiyaan de saja
maante kyun shahenshah naukar hamein
har khata kii chalo preet den maafi ab
pyaar se vo bulaate hain dilbar hamein
जो चुभाते ये बातों के नश्तर हमें
मय-कशी कर दिखाते जो तेवर हमें
होश में मिल कभी जो गए फिर सनम
देखना करते बेलन से जौहर हमें
यूँ ख़फ़ा कर के जाना तो आसान है
अब मनाना दे कर कोई ज़ेवर हमें
ख़ुद को बेग़म समझ आशियाँ दे सजा
मानते क्यों शहंशाह नौकर हमें
हर ख़ता की चलो प्रीत दें माफ़ी अब
प्यार से वो बुलाते हैं दिलबर हमें
As you were reading Shayari by Harpreet Kaur
our suggestion based on Harpreet Kaur
As you were reading undefined Shayari