labon pe ab hamaare koii afsaana nahin rehta | लबों पे अब हमारे कोई अफ़साना नहीं रहता

  - Harpreet Kaur

labon pe ab hamaare koii afsaana nahin rehta
badalte har ghadi haalaat se shikwa nahin rehta

dikhaave kii banaavat kii rahi duniya hai ye saari
hamaari saadgi ka koii deewaana nahin rehta


rahe armaan ye ashkon mein aise bheegte bahte

ki jaise doobti kashti ka bhi dariya nahin rehta
mila har ik yahan begaana sa bankar ke hamse to

jo deta saath aisa koii apna sa nahin rehta
samajh len preet hans ke zindagi aise bitaani hai

yun chhoti-chhoti baaton pe kabhi rona nahin rehta

लबों पे अब हमारे कोई अफ़साना नहीं रहता
बदलते हर घड़ी हालात से शिकवा नहीं रहता

दिखावे की बनावट की रही दुनिया है ये सारी
हमारी सादगी का कोई दीवाना नहीं रहता


रहे अरमान ये अश्कों में ऐसे भीगते बहते

कि जैसे डूबती कश्ती का भी दरिया नहीं रहता
मिला हर इक यहाँ बेगाना सा बनकर के हमसे तो

जो देता साथ ऐसा कोई अपना सा नहीं रहता
समझ लें प्रीत हँस के ज़िंदगी ऐसे बितानी है

यूँ छोटी-छोटी बातों पे कभी रोना नहीं रहता

  - Harpreet Kaur

More by Harpreet Kaur

As you were reading Shayari by Harpreet Kaur

Similar Writers

our suggestion based on Harpreet Kaur

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari