rahein ghaayab dariche aashiyaane se hua kya hai | रहें ग़ायब दरीचे आशियाने से हुआ क्या है

  - Harpreet Kaur

rahein ghaayab dariche aashiyaane se hua kya hai
bashar kaise ye jaanenge suhaani sii ghatta kya hai

nahin ab dhoop se bachne ka koii raasta baaki
shajar jo kaatte unki batao ab saza kya hai

ghula jo zahar paani ka badal phir rang yun jaata
ye faila qahar jo bimaariyon ka phir dava kya hai

kabhi banjar zameen rahti kabhi toofaan kii aafat
fazaa se karte kyun khilwaar insaan kii ana kya hai

kahe ye preet behad hi zaroori hai sambhal jaana
khuda pooche na har ik se yahan kiski khata kya hai

रहें ग़ायब दरीचे आशियाने से हुआ क्या है
बशर कैसे ये जानेंगे सुहानी सी घटा क्या है

नहीं अब धूप से बचने का कोई रास्ता बाक़ी
शजर जो काटते उनकी बताओ अब सज़ा क्या है

घुला जो ज़हर पानी का बदल फिर रंग यूँ जाता
ये फैला क़हर जो बीमारियों का फिर दवा क्या है

कभी बंजर ज़मीं रहती कभी तूफ़ान की आफ़त
फ़ज़ा से करते क्यूँ खिलवाड़ इंसाँ की अना क्या है

कहे ये 'प्रीत' बेहद ही ज़रूरी है सँभल जाना
ख़ुदा पूछे न हर इक से यहाँ किसकी ख़ता क्या है

  - Harpreet Kaur

More by Harpreet Kaur

As you were reading Shayari by Harpreet Kaur

Similar Writers

our suggestion based on Harpreet Kaur

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari