jo badhti umr saathi kii zaroorat aur badhti hai | जो बढ़ती उम्र साथी की ज़रूरत और बढ़ती है - Harpreet Kaur

jo badhti umr saathi kii zaroorat aur badhti hai
chalen haathon ko thaame phir muhabbat aur badhti hai

ada se husn bhi bemaani se lagne lage phir to
wafa ko hi nibhaate man se chaahat aur badhti hai

kahe bin jaan vo lete yun dil kii baat saari hi
guzarte waqt ke chalte nadaamat aur badhti hai

gire to thaamne ko vo hamesha hi khade dat kar
nazar mein phir meri to unki izzat aur badhti hai

ye aankhen bhi karein sajda jhuke unke ishaaron par
yun rishton kii kahein sach mein ladunga aur badhti hai

जो बढ़ती उम्र साथी की ज़रूरत और बढ़ती है
चलें हाथों को थामे फिर मुहब्बत और बढ़ती है

अदा से हुस्न भी बेमानी से लगने लगे फिर तो
वफ़ा को ही निभाते मन से चाहत और बढ़ती है

कहे बिन जान वो लेते यूँ दिल की बात सारी ही
गुज़रते वक़्त के चलते नदामत और बढ़ती है

गिरे तो थामने को वो हमेशा ही खड़े डट कर
नज़र में फिर मेरी तो उनकी इज़्ज़त और बढ़ती है

ये आँखें भी करें सजदा झुके उनके इशारों पर
यूँ रिश्तों की कहें सच में नफ़ासत और बढ़ती है

- Harpreet Kaur
0 Likes

More by Harpreet Kaur

As you were reading Shayari by Harpreet Kaur

Similar Writers

our suggestion based on Harpreet Kaur

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari