na jaane shor ke ab saath kaisi khaamoshi bhi hai
kabhi vo bebasi lagti kabhi vo zindagi bhi hai
muhabbat ko mile manzil zaroori to nahin aisa
rahein mehboob khush bas phir yahi to aashiqi bhi hai
mukammal sii kahaan milti yahan duniya kisi ko bhi
jahaan mein har kisi ke koii rahti to kami bhi hai
ye maana har taraf ye jo andhera sa hua faila
lage aati charaagon se azab sii raushni bhi hai
wafa to preet jaane bas nazar ka thehra dhokha sa
zamaane mein muhabbat naam to dhokhadhari bhi hai
न जाने शोर के अब साथ कैसी ख़ामुशी भी है
कभी वो बेबसी लगती कभी वो ज़िन्दगी भी है
मुहब्बत को मिले मंज़िल ज़रूरी तो नहीं ऐसा
रहें महबूब ख़ुश बस फिर यही तो आशिक़ी भी है
मुकम्मल सी कहाँ मिलती यहाँ दुनिया किसी को भी
जहाँ में हर किसी के कोई रहती तो कमी भी है
ये माना हर तरफ़ ये जो अँधेरा सा हुआ फैला
लगे आती चराग़ों से अज़ब सी रौशनी भी है
वफ़ा तो प्रीत जाने बस नज़र का ठहरा धोखा सा
ज़माने में मुहब्बत नाम तो धोखाधड़ी भी है
As you were reading Shayari by Harpreet Kaur
our suggestion based on Harpreet Kaur
As you were reading undefined Shayari