khoobsurat se ye chehre shokhiyon mein qaid hain
husn kii ban kar ibaarat shaairon mein qaid hain
mehfilon mein jo nazar aate khushi se jhoomte
vo bhi apni alhada veeraaniyon mein qaid hain
shaadiyon ke naam hone jo lage vyaapaar to
dulha-dulhan bhi yahan ab qeemato'n mein qaid hain
dekhiye phir ye lagi baahar ke khaane kii hai lat
hai bigadti ab tabiyat haadson mein qaid hain
phone pe hi log ik dooje ka lete haalchaal
is qadar masroof sab apni hadon mein qaid hain
jism ka sauda yun hi karti nahin aurat koii
kaun jaane kaisi vo laachaariyon mein qaid hain
haal khud-gharzi ka to ab preet se mat poochiye
har koii ab khwahishon kii hasraton mein qaid hain
ख़ूबसूरत से ये चेहरे शोखियों में क़ैद हैं
हुस्न की बन कर इबारत शाइरों में क़ैद हैं
महफ़िलों में जो नज़र आते ख़ुशी से झूमते
वो भी अपनी अलहदा वीरानियों में क़ैद हैं
शादियों के नाम होने जो लगे व्यापार तो
दुल्हा-दुल्हन भी यहाँ अब क़ीमतों में क़ैद हैं
देखिए फिर ये लगी बाहर के खाने की है लत
है बिगड़ती अब तबीयत हादसों में क़ैद हैं
फोन पे ही लोग इक दूजे का लेते हालचाल
इस क़दर मसरूफ़ सब अपनी हदों में क़ैद हैं
जिस्म का सौदा यूँ ही करती नहीं औरत कोई
कौन जाने कैसी वो लाचारियों में क़ैद हैं
हाल ख़ुद-ग़रज़ी का तो अब 'प्रीत' से मत पूछिए
हर कोई अब ख़्वाहिशों की हसरतों में क़ैद हैं
As you were reading Shayari by Harpreet Kaur
our suggestion based on Harpreet Kaur
As you were reading undefined Shayari