hunar aurat ka bharna siskiyaan hain
baha aansu karein badnaamiyaan hain
chale insey hi to bazaar saara
sanwar kar ye giraati bijliyaan hain
karein jo badtameezi insey phir to
ye jaane kadakdaana pasliyaan hain
bina inke nahin ghar mein ho raunaq
rahe aabaad insey bastiyaan hain
rasoi ghar ya ho khelon ka maidaan
ye jeete har jagah pe baaziyaan hain
rahe har baat mein awwal hi hardam
lagi kyun in pe phir paabandiyaan hain
jo ye manmarzi se jeena bhi chahe
to hisse aati bas badnaamiyaan hain
rakhe jo dhyaan sabka hi hamesha
yahan milti use tanhaaiyaan hain
zamaana preet kii baatein na samjhe
chhupi aurat mein saari khoobiyaan hain
हुनर औरत का भरना सिसकियाँ हैं
बहा आँसू करें बदनामियाँ हैं
चले इनसे ही तो बाज़ार सारा
सँवर कर ये गिराती बिजलियाँ हैं
करें जो बदतमीज़ी इनसे फिर तो
ये जाने कड़कड़ाना पसलियाँ हैं
बिना इनके नहीं घर में हो रौनक़
रहे आबाद इनसे बस्तियाँ हैं
रसोई घर या हो खेलों का मैदान
ये जीते हर जगह पे बाज़ियाँ हैं
रहे हर बात में अव्वल ही हरदम
लगी क्यों इन पे फिर पाबंदियाँ हैं
जो ये मनमर्ज़ी से जीना भी चाहे
तो हिस्से आती बस बदनामियाँ हैं
रखे जो ध्यान सबका ही हमेशा
यहाँ मिलती उसे तन्हाइयाँ हैं
ज़माना 'प्रीत' की बातें न समझे
छुपी औरत में सारी ख़ूबियाँ हैं
As you were reading Shayari by Harpreet Kaur
our suggestion based on Harpreet Kaur
As you were reading undefined Shayari