haadse zeest ki tauqeer badha dete hain | हादसे ज़ीस्त की तौक़ीर बढ़ा देते हैं

  - Qabil Ajmeri

haadse zeest ki tauqeer badha dete hain
ai gham-e-yaar tujhe ham to dua dete hain

tere ikhlaas ke afsoon tire vaadon ke tilism
toot jaate hain to kuchh aur maza dete hain

koo-e-mahboob se chup-chaap guzarne waale
arsa-e-zeest mein ik hashr utha dete hain

haan yahi khaak-basar sokhta-saamaan ai dost
tere qadmon mein sitaaron ko jhuka dete hain

seena-chaakaan-e-mohabbat ko khabar hai ki nahin
shehar-e-khooban ke dar-o-baam sada dete hain

ham ne us ke lab o rukhsaar ko choo kar dekha
hausale aag ko gulzaar bana dete hain

हादसे ज़ीस्त की तौक़ीर बढ़ा देते हैं
ऐ ग़म-ए-यार तुझे हम तो दुआ देते हैं

तेरे इख़्लास के अफ़्सूँ तिरे वादों के तिलिस्म
टूट जाते हैं तो कुछ और मज़ा देते हैं

कू-ए-महबूब से चुप-चाप गुज़रने वाले
अरसा-ए-ज़ीस्त में इक हश्र उठा देते हैं

हाँ यही ख़ाक-बसर सोख़्ता-सामाँ ऐ दोस्त
तेरे क़दमों में सितारों को झुका देते हैं

सीना-चाकान-ए-मोहब्बत को ख़बर है कि नहीं
शहर-ए-ख़ूबाँ के दर-ओ-बाम सदा देते हैं

हम ने उस के लब ओ रुख़्सार को छू कर देखा
हौसले आग को गुलज़ार बना देते हैं

  - Qabil Ajmeri

Birthday Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qabil Ajmeri

As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Qabil Ajmeri

Similar Moods

As you were reading Birthday Shayari Shayari