honton pe hasi aankh mein taaron ki ladi hai | होंटों पे हँसी आँख में तारों की लड़ी है

  - Qabil Ajmeri

honton pe hasi aankh mein taaron ki ladi hai
vehshat bade dilchasp do-raahe pe khadi hai

dil rasm-o-rah-e-shauq se maanoos to ho le
takmeel-e-tamanna ke liye umr padi hai

chaaha bhi agar ham ne tiri bazm se uthna
mehsoos hua paanv mein zanjeer padi hai

aawaara o rusva hi sahi ham manzil-e-shab mein
ik subh-e-bahaara se magar aankh ladi hai

kya naqsh abhi dekhiye hote hain numayaan
haalaat ke chehre se zara gard jhadi hai

kuchh der kisi zulf ke saaye mein thehar jaayen
qaabil gham-e-dauraan ki abhi dhoop kaddi hai

होंटों पे हँसी आँख में तारों की लड़ी है
वहशत बड़े दिलचस्प दो-राहे पे खड़ी है

दिल रस्म-ओ-रह-ए-शौक़ से मानूस तो हो ले
तकमील-ए-तमन्ना के लिए उम्र पड़ी है

चाहा भी अगर हम ने तिरी बज़्म से उठना
महसूस हुआ पाँव में ज़ंजीर पड़ी है

आवारा ओ रुस्वा ही सही हम मंज़िल-ए-शब में
इक सुब्ह-ए-बहाराँ से मगर आँख लड़ी है

क्या नक़्श अभी देखिए होते हैं नुमायाँ
हालात के चेहरे से ज़रा गर्द झड़ी है

कुछ देर किसी ज़ुल्फ़ के साए में ठहर जाएँ
'क़ाबिल' ग़म-ए-दौराँ की अभी धूप कड़ी है

  - Qabil Ajmeri

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qabil Ajmeri

As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Qabil Ajmeri

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari