vo kab aayein khuda jaane sitaaro tum to so jaao | वो कब आएँ ख़ुदा जाने सितारो तुम तो सो जाओ - Qabil Ajmeri

vo kab aayein khuda jaane sitaaro tum to so jaao
hue hain ham to deewane sitaaro tum to so jaao

kahaan tak mujh se hamdardi kahaan tak meri gham-khwari
hazaaron gham hain anjaane sitaaro tum to so jaao

guzar jaayegi gham ki raat umeedo to jaag utho
sambhal jaayenge deewane sitaaro tum to so jaao

hamein roodaad-e-hasti raat bhar mein khatm karne hai
na chhedo aur afsaane sitaaro tum to so jaao

hamaare deeda-e-be-khwaab ko taskin kya doge
hamein lootaa hai duniya ne sitaaro tum to so jaao

use qaabil ki chashm-e-nam se deerina ta'alluq hai
shab-e-gham tum ko kya jaane sitaaro tum to so jaao

वो कब आएँ ख़ुदा जाने सितारो तुम तो सो जाओ
हुए हैं हम तो दीवाने सितारो तुम तो सो जाओ

कहाँ तक मुझ से हमदर्दी कहाँ तक मेरी ग़म-ख़्वारी
हज़ारों ग़म हैं अनजाने सितारो तुम तो सो जाओ

गुज़र जाएगी ग़म की रात उम्मीदो तो जाग उट्ठो
सँभल जाएँगे दीवाने सितारो तुम तो सो जाओ

हमें रूदाद-ए-हस्ती रात भर में ख़त्म करनी है
न छेड़ो और अफ़्साने सितारो तुम तो सो जाओ

हमारे दीदा-ए-बे-ख़्वाब को तस्कीन क्या दोगे
हमें लूटा है दुनिया ने सितारो तुम तो सो जाओ

उसे 'क़ाबिल' की चश्म-ए-नम से देरीना तअ'ल्लुक़ है
शब-ए-ग़म तुम को क्या जाने सितारो तुम तो सो जाओ

- Qabil Ajmeri
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qabil Ajmeri

As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Qabil Ajmeri

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari