b-qadr-e-josh-e-junoon taar taar bhi na kiya
vo pairhan jise nazar-e-bahaar bhi na kiya
koi jawaab hai is tarz-e-dil-rubaa'i ka
sukoon bhi loot liya be-qaraar bhi na kiya
dil-e-kharaab sar-e-koo-e-yaar le aaya
khayaal-e-gardish-e-lail-o-nahaar bhi na kiya
guzar gaya yoonhi chup-chaap kaarwaan-e-bahaar
naved-e-gul bhi na di dil-figaar bhi na kiya
khayaal-e-khaatir-e-ahbaab aur kya karte
jigar pe zakham bhi khaaye shumaar bhi na kiya
ब-क़द्र-ए-जोश-ए-जुनूँ तार तार भी न किया
वो पैरहन जिसे नज़र-ए-बहार भी न किया
कोई जवाब है इस तर्ज़-ए-दिल-रुबाई का
सुकूँ भी लूट लिया बे-क़रार भी न किया
दिल-ए-ख़राब सर-ए-कू-ए-यार ले आया
ख़याल-ए-गर्दिश-ए-लैल-ओ-नहार भी न किया
गुज़र गया यूँही चुप-चाप कारवान-ए-बहार
नवेद-ए-गुल भी न दी दिल-फ़िगार भी न किया
ख़याल-ए-ख़ातिर-ए-अहबाब और क्या करते
जिगर पे ज़ख़्म भी खाए शुमार भी न किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri
our suggestion based on Qabil Ajmeri
As you were reading Sukoon Shayari Shayari